Retirement
Ke Lutf
Avkash Prapta
Karne Par Hai Avkash Hi Avkash
Kam Ki Fikra Chooti ,Ab Hai Jine Ki Azadi
Subah Se Lag Jate Hain Dhyan Aur Yog
Me
Ya Ghar Se Nikal Jate Tahlne Sair Pe
Pahle Patni Wa Ghar Ke Liye Samaya
Nahi Tha
Patni Ke Alawa Ab Kam Samaye Bachta Hai
Kabhi Baagwani Kar Li To,To Kuch Shram Ho Gaya
Jadey Ki Dhoop Seik Li To Sharir Sphurtiman Ho
Gaya
Uddesh Sada Rahata Hai Sharir Ko
Pusht Bane Ko
Man Mein Lahar Udhati Hai Duniya Ko Kuch Dene
Ko
Bachhey Ab Vayask Aur Jimmedar Huae Hain
Bachhon Ke Bachhey Ab adhik Dular
Liye Hain
Patni Ghar Sanwarne Mein Tallin
Rahati Hain
Kabhi Nok Jhonk To Kabhi Sahyog Chalta Rahta
Hai.
Kabhi Mata Pita ,Kabhi Dost Yaron Se
Milne Chale Gaye
Kabhi TV Dekha To Kabhi Bachhon Se Phone
Par Batein Ho Gayin.
Kabhi Natak Kabhi Picture Kabhi Sair Sapata
Kabhi Pooja Kabhi Tirth To Kabhi Ghar Ka
Sannata
Hun Sab Sukh Dukh Ke Saath Jeewan Bitate Hain
Befikr aur Swatantra Hoker
Retirement Ka Lutf Uthate Hain
No comments:
Post a Comment