RETEREMENT KE LUTF
Avkash Prapta Karne Par Hai Avkash Hi Avkash Kam Ki Fikra Chooti ,Ab Hai Jine Ki Azadi Subah Se Lag Jate Hain Dhyan Aur Yog Me Ya Ghar Se Nikal Jate Tahlne Sair Pe Pahle Patni Wa Ghar Ke Liye Samaya Nahi Tha Patni Ke Alawa Ab Kam Samaye Bachta Hai Kabhi Baagwani Kar Li To,To Kuch Shram Ho Gaya Jadey Ki Dhoop Seik Li To Sharir Sphurtiman Ho Gaya Udesh Sada Rahata Hai Sharir Ko Pusht Bane Ko Man Mein Lahar Udhati Hai Duniya Ko Kuch Dene Ko Bachhey Ab Vayask Aur Jimmedar Huae Hain Bachhon Ke Bachhey Ab adhik Dular Liye Hain Patni Ghar Sanwarne Mein Tallin Rahati Hain Kabhi Nok Jhonk To Kabhi Sahyog Chalta Rahta Hai. Kabhi Mata Pita ,Kabhi Dost Yaron Se Milne Chale Gaye Kabhi TV Dekha To Kabhi Bachhon Se Phone Par Baton mein Ho Gaye. Kabhi Natak Kabhi Picture Kabhi Sair Sapata Kabhi Pooja Kabhi Tirth To Kabhi Ghar Ka Sannata Hun Sab Sukh Dukh Ke Saath Jeewan Bitate Hain Befikr aur Swatantra Hoker Retirement Ka Lutf Uthate Hain
No comments:
Post a Comment