Tuesday 12 August 2014

Retirement Ke Lutf



Retirement Ke Lutf
 Avkash Prapta Karne Par Hai Avkash Hi Avkash
 Kam Ki Fikra Chooti ,Ab Hai Jine Ki Azadi
Subah Se Lag Jate Hain Dhyan Aur Yog Me
Ya Ghar Se Nikal Jate Tahlne Sair Pe
Pahle Patni Wa Ghar Ke Liye Samaya Nahi Tha
 Patni Ke Alawa Ab Kam Samaye Bachta Hai
 Kabhi Baagwani Kar Li To,To Kuch Shram Ho Gaya
 Jadey Ki Dhoop Seik Li To Sharir Sphurtiman Ho Gaya
Uddesh Sada Rahata Hai Sharir Ko Pusht Bane Ko
 Man Mein Lahar Udhati Hai Duniya Ko Kuch Dene Ko
 Bachhey Ab Vayask Aur Jimmedar Huae Hain
Bachhon Ke Bachhey Ab adhik Dular Liye Hain
Patni Ghar Sanwarne Mein Tallin Rahati Hain
 Kabhi Nok Jhonk To Kabhi Sahyog Chalta Rahta Hai.
Kabhi Mata Pita ,Kabhi Dost Yaron Se Milne Chale Gaye
Kabhi TV Dekha To Kabhi Bachhon Se Phone Par Batein Ho Gayin.
 Kabhi Natak Kabhi Picture Kabhi Sair Sapata
 Kabhi Pooja Kabhi Tirth To Kabhi Ghar Ka Sannata
 Hun Sab Sukh Dukh Ke Saath Jeewan Bitate Hain
Befikr aur Swatantra Hoker Retirement Ka Lutf Uthate Hain

No comments:

Post a Comment